Welcome Guest [Log In] [Register]
Welcome to Zeropoint. We hope you enjoy your visit.


You're currently viewing our forum as a guest. This means you are limited to certain areas of the board and there are some features you can't use. If you join our community, you'll be able to access member-only sections, and use many member-only features such as customizing your profile, sending personal messages, and voting in polls. Registration is simple, fast, and completely free.


Join our community!


If you're already a member please log in to your account to access all of our features:

Username:   Password:
Add Reply
Deyou k 3 Baal
Topic Started: May 13 2006, 12:34 AM (225 Views)
~Miss_Cat~
Member Avatar
Dunia Se Khamoshi Se Guzar jaein Hum tou kya??
Moderator
Deyou k 3 Baal

like every fairy tale yeh kahani bhi aik badshah se start hoti hai Aik Baadshah hota hai usski jawan baiti khelte khelte girr jati hai aur andhi hou jaati hai mulk ka koi hakeem uska illaaj nahi kar sakta phir aik naik baba g aatey hain aur woh batatey hain k durrr kahin paharon mein aik deyou rehta hai woh aik khaas nasal ka akhiri member hai ussk 3 baal agher koi le aye aur iss bachi ki ankhon par rakhey jaaein tou woh theek ho jaye gi aur phir se daikhne lagey gi
baadshah porey mulk mein ilaan karva daita hai k ju koi bhi deyou k 3 baal laye ga ussko acha khasa inaam dia jaye ga
buhat se log deyou na naam sun kar bhaag jaatey hain
par Aik larka jiska koi nahi hota woh kehta hai k mein jaaon ga aur shehzadi k liye woh 3 baal laaon ga chahey meri jaan kyun na chali jaye meri yeh jaan kiss kaam ki jab tak k woh kissi k kaam na aye

phir woh larka baadshah se ijazat talb karta hai aur chal nikalta hai apne safar par

raastey mein usko bhook lagti hai aik jaga daikhta hai tou wahan darkht k pass buhat se log afsoos kar rahe hotey hain woh unk pass jata hai aur pochta hai k kya hua ... log batatey hain k yeh darakht ju tum daikh rahe hou saib ka hai iss par pehley souney k saib lagtey thay par abb yeh darakht murjha gaya hai pata nahi kiss ka manhoos saaya hai ... woh larka batata hai k woh shehzadi k liye deyou k 3 baal dhondhne ja raha hai ta key woh sahi ho sakey log usko apni blessings daitey hain aur kehtay hain k deyou jisko shayad jado k zareye yeh raaz maloom ho uss se sab pata kar ley k is darakht k aaisa houne ki wajah kya hai
larka kehta hai theek hai aur agey nikal parta hai

woh chalta jata hai k raat hou jati hai chaltey chlatey usko aik jhonpri nazar aati hai woh darwaza khatkhata ta hai andar se aikhalaat ka maara aadmi bahar nikalta hai uske baki ghaar walon ki haalat bhi buhat dukhi hoti hai woh sab ko salam keh unk haal halaat dareyaaft karta hai pata chalta hai k woh aadmi apni city ka maaldaar insaan tha par aik din uske ghaar chorr aye aur sab loot k le gaye aur ajj woh zindagi ne usko yahan laa kar khara kar dia hai shehzada uss se bhi apne safar ki baatien karta hai woh bhi uss larke se request karta hai k uski madad k liye kuch karey woh umeed daita hai aur aaram kar k subha phir apni manzil par nikal parta hai ....

chaltey chaltey usko phir aik jaga buhat se log deekhayi daitey hain woh pass jata hai aur pochta hai k kya hua woh batatey hain k aik fawara(fountain) tha jiss mein se hameesha Aanaron ka Rass ata tha ALLAH k karam se par abb nahi ata ... larka sunta hai aur agey nikal parta hai Dil mein Dua karta hai k ALLAH uski madad karey aur chall parta hai

raastey mein ussko aik baba j milte hain woh unko salam karta hai aur pass parey ghaare mein se pani peeta hai baba g kehtay hain baitey batao kiss mushkil mein hou woh larka sari kahani suna daalta hai phir baba g ussko aik ring daitey hain jisko woh jab pehnay ga tou ghayab hou jaye ga aur deyou ka asli pata batatey hain k woh kahan rehta hai

larka raat baba g k pass guzarta hai aur agey nikal parta hai

agley din woh deyou k ghar pohanch jata hai darwaza kholta hai tou wahan deyou nahi hota ... balkey aik borhi aurat ju k deyou ki nanou hoti hain baithi hoti hain kehti hain baita kaho kya kaam hai larka unko sari kahani sunata hai ... kahani sun kar logon ki majbooriyun pe nannou ko buhat dukh hota hai aur woh kehti hain k woh sab pata kar dein gi abhi deyou ghaar par nahi shaam k jaise woh aye ga tab ... phir nanou usko khana daiti hain jab deyou ata hai tou woh wohi ring pehan kar chupp jata hai .... deyou aatey hi kehta hai

AAAAAAAADAAAAAAMMMMM BBBBBBBBBBOOOOOOOOOUUUUUUUU

naani kehti hai arey baita apni nanni kou khaye ga kya tere darr se idhar kaun aye ga

woh pursakoon hou jata hai

phir naani deyou kou khana daiti hai

aur raat kou soune ke waqt kehti hai ajj mein apne baitey kou lori sunaon gi hum baatien karien ge deyou kehta hai ....

To be continued

Baki Baad mein
<center>"No matter how small I might feel,
there’s something or somebody
who sees me as colorful."
hasne ki aarZoo maiN dabaya jo dard ko
aansoo hamaree aankh maiN pathar kyun hogay

~ Kuch Khwaishien ~ Kuch Bebasi ~ Kuch Rishte ~ Kuch Raastay ~ Tum Bin ....
</center>
Offline Profile Quote Post Goto Top
 
Eman
Member Avatar

5 Star Member
hmmmmmmmmm bachpan yaad dela deya zalim ;z
ye pehli story soni hay jis may badsha apni beeti ki shadi ki offer nahi karta :))
wasay shehzadi choti hoti hay ha reshma jawan ho gaey ;)
Offline Profile Quote Post Goto Top
 
Dreamz

New Member
very nice story :)
Offline Profile Quote Post Goto Top
 
~Miss_Cat~
Member Avatar
Dunia Se Khamoshi Se Guzar jaein Hum tou kya??
Moderator
dreamz abhi adhi rehti hai :d
<center>"No matter how small I might feel,
there’s something or somebody
who sees me as colorful."
hasne ki aarZoo maiN dabaya jo dard ko
aansoo hamaree aankh maiN pathar kyun hogay

~ Kuch Khwaishien ~ Kuch Bebasi ~ Kuch Rishte ~ Kuch Raastay ~ Tum Bin ....
</center>
Offline Profile Quote Post Goto Top
 
~Miss_Cat~
Member Avatar
Dunia Se Khamoshi Se Guzar jaein Hum tou kya??
Moderator
sam
May 13 2006, 01:16 AM
hmmmmmmmmm bachpan yaad dela deya zalim ;z
ye pehli story soni hay jis may badsha apni beeti ki shadi ki offer nahi karta :))
wasay shehzadi choti hoti hay ha reshma jawan ho gaey ;)

abhi pouri huyi hai kahan yeh :p
<center>"No matter how small I might feel,
there’s something or somebody
who sees me as colorful."
hasne ki aarZoo maiN dabaya jo dard ko
aansoo hamaree aankh maiN pathar kyun hogay

~ Kuch Khwaishien ~ Kuch Bebasi ~ Kuch Rishte ~ Kuch Raastay ~ Tum Bin ....
</center>
Offline Profile Quote Post Goto Top
 
Eman
Member Avatar

5 Star Member
~Miss_Cat~
May 14 2006, 03:36 AM
sam
May 13 2006, 01:16 AM
hmmmmmmmmm bachpan yaad dela deya zalim  ;z
ye pehli story soni hay jis may badsha apni beeti ki shadi ki offer nahi karta  :))
wasay shehzadi choti hoti hay ha reshma jawan ho gaey  ;)

abhi pouri huyi hai kahan yeh :p

ohoooooooo tu hum nay kab kaha k story porri hoey
tabhi tu kaha k shehzadi bachi thi ya jawan ///z
waiting 4 new episode ///y
Offline Profile Quote Post Goto Top
 
~Miss_Cat~
Member Avatar
Dunia Se Khamoshi Se Guzar jaein Hum tou kya??
Moderator
g mein soon hi post karon gi ;b
ajjkal kuch busy hon :)
<center>"No matter how small I might feel,
there’s something or somebody
who sees me as colorful."
hasne ki aarZoo maiN dabaya jo dard ko
aansoo hamaree aankh maiN pathar kyun hogay

~ Kuch Khwaishien ~ Kuch Bebasi ~ Kuch Rishte ~ Kuch Raastay ~ Tum Bin ....
</center>
Offline Profile Quote Post Goto Top
 
~Miss_Cat~
Member Avatar
Dunia Se Khamoshi Se Guzar jaein Hum tou kya??
Moderator
g tou kahani agey start ki jaye :)


deyou nanni se kehta hai nanni khair hai ajj app bara pyar kar rahe hou
nanni bolli haan na baita tou mera itna pyara sa bara sa baita jou hai
phir nanni n deyou kou litta usske sar mein haath phairna souroh kia
then nanni bolien ... baita sun falan falan jagah aik darakht hai uss par souney k saib latey thay par abb nahi lagtey kya tujhey maloom hai k aaisa kyun hua? deyou hansta hai aur kehta hai k haan na naani uss darakht k neechay abb aik baare se saanp ka bill hai usski manhosiyat ki wajah se aaisa ho raha hai agher koi saanp ko marr dey tou aaisa na hou par nanni tou kyun poch rahi hai nanni kehti hai aaise hi baita :) aur deyou k sar se aik baal khaich laiti hai deyou kehta hai nani yeh kya kia nanni kehti hai kuch nahi joun thi bacha :) tou kaam buhat karta hai na issliye ....

naani phir deyou k balon mein haath phairne lagti hai deyou ko neend aney lagti hai aik damm nani kehti hai baita sun deyou kehta hai nanni kya baat hai? nanni kehti hai k aik jagah aik sakhs rehta tha uske pass buhat doulat thi phir aik din uska nuksaan hua aur woh payi payi ka mohtaj hou gaya kya tou janta hai k aaisa kyun hua? deyou kehta hai nanni meri masoom si naani hua yun k ussko gharoor buhat tha apni daulat ka usne mera hissa mujh ko na dia tou usko saza daine k liye mein ne uske bandon ko apne saath milva lia n usko achi saza dilva di yani k uski jaidad hatheya li samne almari mein hi tou hain uske kaghaz
nanni kehti hai acha aur phir achanak chupke se aik aur baal nikal laiti hai deyou kehta hai oooouuuuuuuhhhhhhhh tou nani hansti hai aur kehti hai huh juon wala mera baita :p

phir dobara se nanni deyou k sar mein haath phairne lagti hai apne aur kehti hai baita aik aur sawal pochon tou deyou kehta hai pocho na nanni ap tou meri nanni ho jou marzi pocho iss par nanni kehti hai k baita falan jagah aik pyara sa fawara hua karta tha jahan se har waqt anaar ka russ ata tha par abb aaisa nahi .. deyou hansta hai aur kehta hai arey nani woh fawara jahan laga hua hai na usske sath wale gaaon k logon ne saazish se uska rukh badal dia hai iss liye aaisa hota hai iss par nanni kehti hai acha aur deyou ka aik aur baal khaich laiti hai deyou kehta hai buss kar do nanni jouein nikalni :p then nanni deyou ko soula daiti hai ... deyou apney kaam par chala jata hai ... aur nanni woh baal uss larke k hawale kar daiti hai .....
<center>"No matter how small I might feel,
there’s something or somebody
who sees me as colorful."
hasne ki aarZoo maiN dabaya jo dard ko
aansoo hamaree aankh maiN pathar kyun hogay

~ Kuch Khwaishien ~ Kuch Bebasi ~ Kuch Rishte ~ Kuch Raastay ~ Tum Bin ....
</center>
Offline Profile Quote Post Goto Top
 
Eman
Member Avatar

5 Star Member
ab ya kahani kuch kuch sonney hoey lag rahi hay ///y

chalo dekhtay hein k aagey kiya hota hay ;c
Offline Profile Quote Post Goto Top
 
~Miss_Cat~
Member Avatar
Dunia Se Khamoshi Se Guzar jaein Hum tou kya??
Moderator
g aggla edition jaldi aye ga :d
<center>"No matter how small I might feel,
there’s something or somebody
who sees me as colorful."
hasne ki aarZoo maiN dabaya jo dard ko
aansoo hamaree aankh maiN pathar kyun hogay

~ Kuch Khwaishien ~ Kuch Bebasi ~ Kuch Rishte ~ Kuch Raastay ~ Tum Bin ....
</center>
Offline Profile Quote Post Goto Top
 
1 user reading this topic (1 Guest and 0 Anonymous)
ZetaBoards - Free Forum Hosting
Join the millions that use us for their forum communities. Create your own forum today.
Learn More · Sign-up for Free
« Previous Topic · Bachon Ki Duniya · Next Topic »
Add Reply